kaḌī nigāh rakhegā vo sīm-tan mujh par
ki mehrbāñ hai kisī phuul kā badan mujh par
maiñ ek khoī huī aag kī talāsh meñ thā
shaguft hone lage haiñ magar chaman mujh par
phir ek baar vahī dhuup oḌh kar niklūñ
karegā chhāñv agar aaj bhī gagan mujh par
firāq-o-vasl haqīqat meñ ek hoñ ki na hoñ
kisī ke ishq meñ lāzim hai husn-e-zan mujh par
alag alag hī raheñge dam-e-visāl bhī ham
maiñ apne man pe fidā huuñ na merā man mujh par
kisī tilism se raushan hai merā dil 'sājid'
dayār-e-ġhaib se utregā koī fan mujh par