nahīñ hai is niiñd ke nagar meñ abhī kisī ko dimāġh merā
magar kisī ḳhvāb ke safar meñ sipar kareñge charāġh merā
sabāhat-e-sham-o-ā.ina se huī hai merī numūd lekin
sitāra o āsmāñ se bāhar kahīñ milegā surāġh merā
taḌap uThī hai kisī nagar meñ qayām karne se ruuh merī
sulag rahā hai kisī masāfat kī be-kalī se dimāġh merā
jarāhat-e-vasl ne khilā.e haiñ zulmat-e-shām meñ sitāre
matā-e-hijrāñ kī chāñdnī se bharā huā hai ayāġh merā
lipaT rahī hai fasīl kī burjiyoñ se ik shahr kī nigāheñ
aur ek dīvār-e-ā.īna par jhukā huā hai charāġh merā
ye kaisī sat.h-e-ravāñ pe 'sājid' dharī huī hai zamīn merī
ki jhūmtā hai kisī sitāre ke saañs lene se baaġh merā