Ghulam Husain Sajid

qarya-e-hairat mein dil ka mustaqar ek KHwab hai

Ghulam Husain Sajid

1951
qarya-e-hairat meñ dil kā mustaqar ik ḳhvāb hai
ye zamīñ ik aa.ina hai ye nagar ik ḳhvāb hai
tañgī-e-auqāt se khultī hai ik rāh-e-najāt
vus.at-e-imroz-o-fardā se udhar ik ḳhvāb hai
ek sub.h-e-nūr hai mere sitāre kī niyām
aur mirī be-teġh āñkhoñ kī sipar ik ḳhvāb hai
ye zamīn-o-āsmāñ donoñ haqīqat haiñ magar
ḳhaak par maujūd hone kī ḳhabar ik ḳhvāb hai
saañs ruktā hai to gul hotī hai sham-e-justujū
raat bhar bedār rahne kā samar ik ḳhvāb hai
ek mauj-e-āb hai ik aks meñ lipTī huī
ek mauj-e-rañg se shīr-o-shakar ik ḳhvāb hai
Top Urdushayar.com