kabhī charāġh kabhī rāsta badal kar dekh
bahut qarīb hai manzil zarā sā chal kar dekh
tire hisār se bāhar nahīñ zamān-o-makāñ
tū merī tarah kisī aa.ine meñ Dhal kar dekh
faqīr ban ke vo aayā hai terī chaukhaT par
ye koī aur nahīñ hai zarā sambhal kar dekh
nigār-ḳhāna-e-gardūñ ko raakh karte hue
zarā sī der kisī tāqche meñ jal kar dekh
zamīn tañg huī jā rahī hai logoñ par
hudūd-e-qarya-e-jāñ se kabhī nikal kar dekh
ravāñ-davāñ haiñ kisī samt meñ ki sākit haiñ
phir ek baar sitāroñ kī aañkh mal kar dekh
ajiib lutf hai tark-e-nashāt meñ 'sājid'
jo ho sake to mirī baat par amal kar dekh