ā.ina-āsā ye ḳhvāb-e-nīlamīñ rakkhūñgā maiñ
aur us ujle sitāre par yaqīñ rakkhūñgā maiñ
umr bhar ḳhush aa.egī kyā merī tanhā.ī mujhe
rābta har chand logoñ se nahīñ rakkhūñgā maiñ
shahr hī aisā añdherā hai ki ik din bhuul kar
tāqche meñ phir charāġh-e-avvalīñ rakkhūñgā maiñ
raas aatī hī nahīñ jab pyaar kī shiddat mujhe
ik kamī apnī mohabbat meñ kahīñ rakkhūñgā maiñ
ek saaya sā guzar jā.egā mauj-e-nūr se
jab ujāle meñ vo shāḳh-e-yāsmīñ rakkhūñgā maiñ
haañ yahī miTTī virāsat hai mire ajdād kī
lauT kar apnī kamā.ī bhī yahīñ rakkhūñgā maiñ