Ghulam Husain Sajid

mata-e-did to kya jaaniye kis se ibarat hai

Ghulam Husain Sajid

1951
matā-e-dīd to kyā jāniye kis se ibārat hai
charāġh-e-ḳhvāb hī kuchh der raushan ho ġhanīmat hai
kisī ke dar pe dastak duuñ to ḳhud bāhar nikaltā huuñ
ḳhabar kyā kaun se ghar tak tire ġham kī riyāsat hai
sañvarte zāviyoñ meñ muskurātī shakl hai merī
chaTaḳhte ā.inoñ meñ bhī koī merī hī sūrat hai
sitāroñ ke jilau meñ aur kitnī duur tak le jaa.eñ
kaho to sub.h hone tak bhalā kitnī masāfat hai
nadāmat phuul se nāzuk laboñ par barf kī sil hai
aur āñkhoñ meñ kisī biite hue din kī vazāhat hai
mire mash.al jalāte hī sitāra Duub kar niklā
maiñ samjhā huuñ mujhe bhī lauT jaane kī ijāzat hai
kabhī majbūr kar denā kabhī majbūr ho jaanā
yahī terā vatīra hai yahī terī siyāsat hai
mujhe apnī qasam 'sājid' maiñ us ke kaam ā.ūñgā
agar ye ilm ho jaa.e kise merī zarūrat hai
Top Urdushayar.com