Ghulam Husain Sajid

nahin aasan kisi ke waste taKHmina mera

Ghulam Husain Sajid

1951
nahīñ āsāñ kisī ke vāste taḳhmīna merā
muqarrar hai dayār-e-ġhaib se rozīna merā
dam-e-ruḳhsat agar maiñ hausle se kaam letā
palaT kar dekh saktā thā use ā.īna merā
hadaf ban pā.eñgī āñkheñ na mere dushmanoñ kī
muqābil hai ḳhadañg-e-ḳhvāb ke ab siina merā
paḌā rahtā huuñ kunj-e-āfiyat meñ sar chhupā kar
guzar jaatā hai yuuñ hī sabt aur ādīna merā
buḌhāpā chhā rahā hai mere har jazbe pe lekin
javāñ hotā chalā jaatā hai phir bhī kiina merā
badal saktā thā mere shahr kā āhañg 'sājid'
agar tartīb pā saktā kabhī sāzīna merā
Top Urdushayar.com