Ghulam Husain Sajid

hudud-e-qarya-e-wahm-o-guman mein koi nahin

Ghulam Husain Sajid

1951
hudūd-e-qarya-e-vahm-o-gumāñ meñ koī nahīñ
mire alāva mire kārvāñ meñ koī nahīñ
charāġh jalte haiñ kyuuñ rāt-bhar mire dil meñ
bahut dinoñ se agar is makāñ meñ koī nahīñ
hai merī fat.h-o-hazīmat kā kyuuñ asar us par
sharīk agar mire sūd-o-ziyāñ meñ koī nahīñ
Thahar sake jo mire sāmne ghaḌī-do-ghaḌī
vo shahsavār saf-e-dushmanāñ meñ koī nahīñ
bhaTak rahā huuñ hujūm-e-nujūm meñ tanhā
ki mujh sā aur kisī kahkashāñ meñ koī nahīñ
ajiib ek masarrat se āshnā haiñ vo
asīr-e-ġham tire āshuftagāñ meñ koī nahīñ
milī ho jis ko virāsat meñ umr-bhar 'sājid'
vo ḳhush-nasīb kisī ḳhāk-dāñ meñ koī nahīñ
Top Urdushayar.com