din ke paikar meñ kahīñ raat meñ Dhalte hue rañg
jaane rukte haiñ kahāñ niiñd meñ chalte hue rañg
āḳhirī sham.a bujhāte hue apne ghar kī
maiñ dekhe the kisī taaq meñ jalte hue rañg
us parī-zād kī āñkhoñ meñ dikhā.ī deñge
ek hī pal meñ ka.ī rañg badalte hue rañg
sar uThāte haiñ mire Dūbte lahje meñ kahīñ
guftugū karte hue lafz ugalte hue rañg
sub.h-dam ghar se nikalnā hī agar paḌ jaa.e
niiñd se aañkh churātā huuñ masalte hue rañg
haar aayā huuñ kisī ā.ina-ḳhāne meñ unheñ
mere hamrāh nahīñ aaj uchhalte hue rañg
ik badaltī huī duniyā ke makīñ haiñ 'sājid'
ḳhaak par girte hue aur sambhalte hue rañg