jahāñ meñ Dālte rahte haiñ mā-sivā kī tarah
daraḳht chal nahīñ sakte magar havā kī tarah
bhaTak kar aa.ī thī kuchh der ko idhar duniyā
lipaT ga.ī mire dil se kisī balā kī tarah
mire hisār se bāhar bhī vo nahīñ rahtā
mire qarīb bhī aatā nahīñ ḳhudā kī tarah
bahut se rañg utarte haiñ merī āñkhoñ meñ
kisī ke dhyān meñ uljhī huī sadā kī tarah
utar gayā mire dil meñ vo be-dhaḌak lekin
laboñ par aa nahīñ paayā hai mudda.ā kī tarah
ravāñ-davāñ haiñ mire ās-pās kī ashiyā
paḌā huā huuñ zamīñ par maiñ naqsh-e-pā kī tarah
simaT sakūñgā na apne vajūd meñ 'sājid'
pahan liyā hai kisī ne mujhe qabā kī tarah