laraz jaatā hai thoḌī der ko tār-e-nafas merā
sar-e-maidāñ kabhī jab jast kartā hai faras merā
maiñ ḳhud se duur ho jaatā huuñ us se duur hone par
rihā.ī chāhtā huuñ aur muqaddar hai qafas merā
zarā mushkil se ab pahchāntā huuñ in manāzir ko
qayām us ḳhāk-dāñ par thā abhī pichhle baras merā
duā kartā huuñ milne kī tamannā kar nahīñ paatā
bhalā kyā sāmnā kar pā.eñge ahl-e-havas merā
nahīñ bhūlegī merī dāstān-e-ishq-e-duniyā ko
ki sahrā meñ abhī tak naam letī hai jaras merā
numūd-e-aks kī is ko zamānat kaun de 'sājid'
nahīñ hai jab shaguft-e-ā.īna par koī bas merā