nashāt-e-fat.h se to dāman-e-dil bhar nahīñ paa.e
magar kyuuñ hārne vaale mohabbat kar nahīñ paa.e
mudāvā kis tarah hogā vahāñ zañgār-e-vahshat kā
agar kuchh aa.ine ham ne sitāroñ par nahīñ paa.e
fasīl-e-shahr se aage zarā sā dasht khiskā thā
aur is ke ba.ad logoñ ne bahut se ghar nahīñ paa.e
sukūt-e-marg kyā TuuTe ki ham ne shahar se bāhar
daraḳhtoñ meñ parinde bhī ziyāda-tar nahīñ paa.e
kisī ne faqr se apne ḳhazāne bhar liye lekin
kisī ne shahryāroñ se bhī sīm-o-zar nahīñ paa.e
dayār-e-ishq ke paudoñ meñ ab bhī phuul aate haiñ
ki ham ne bhiik meñ 'sājid' kabhī aḳhgar nahīñ paa.e