sar par kisī ġharīb ke nā-chār gir paḌe
mumkin hai mere sabr kī dīvār gir paḌe
kyā ḳhuub suraḳh-rū hue ham kār-e-ishq meñ
do-chār kaam aa ga.e do-chār gir paḌe
is baar jab ajal se mirā sāmnā huā
kashtī se ḳhvāb haath se patvār gir paḌe
raushan koī charāġh nahīñ naḳhl-e-tūr par
sajde meñ kis ko dekh ke ashjār gir paḌe
kartī hai farsh-e-ḳhāk ko dīvār aa.ina
āñkhoñ se jab ye daulat-e-bedār gir paḌe
is paar dekh kar mujhe ik gul-badan ke saath
jitne mire gulāb the us paar gir paḌe
'sājid' agar aziiz thī apnī anā inheñ
kyā soch kar galī meñ mire yaar gir paḌe