Ghulam Husain Sajid

honTon par hai baat kaDi taziren bhi

Ghulam Husain Sajid

1951
hoñToñ par hai baat kaḌī ta.azīreñ bhī
ḳhāmoshī kā rañg huiiñ taqrīreñ bhī
ḳhauf yahī hai aane vaalī nasloñ ko
ek ajūba hoñgī ye tahrīreñ bhī
mausam ke sau ruup magar in āñkhoñ meñ
ḳhvāb vahī haiñ ḳhvāboñ kī ta.abīreñ bhī
ā.inda ke saañs hamāre apne haiñ
TuuT chukīñ is va.ade kī zanjīreñ bhī
ek ajab hairat meñ gum-sum rahtī haiñ
dīvāreñ dīvāroñ par tasvīreñ bhī
paanī kī ḳhāmosh sadā.eñ kaun sune
ḳhatm huiiñ jab miTTī kī tāsīreñ bhī
Top Urdushayar.com