kis ne dī āvāz ''sipar kī oT meñ thā''
merā sar to us ke sar kī oT meñ thā
maiñ ne saat parinde uḌte dekhe the
ek parinda aur shajar kī oT meñ thā
maidānoñ shahroñ meñ log salāmat haiñ
marne vaalā apne ghar kī oT meñ thā
yuuñ jaagī hai aag sabhī dālānoñ meñ
jaise koī haath sharar kī oT meñ thā
kyuuñ āñhkeñ ummīdoñ kī mehmān rahīñ
shāyad koī ḳhvāb safar kī oT meñ thā
aaj khulā dushman ke pīchhe dushman the
aur vo lashkar is lashkar kī oT meñ thā
'sājid' aaj hunar hai us ke saa.e meñ
lekin kal fankār hunar kī oT meñ thā