Ghulam Husain Sajid

charagh ki oT mein ruka hai jo ek hayula sa yasmin ka

Ghulam Husain Sajid

1951
charāġh kī oT meñ rukā hai jo ik hayūlā sā yāsmīñ kā
ye rañg hai aur āsmāñ kā ye phuul hai aur hī zamīñ kā
mire irāde pe munhasir hai ye dhuup aur chhāñv kā Thaharnā
ki ek saa.at kisī gumāñ kī hai ek lamha kisī yaqīñ kā
mujhe yaqīñ hai zamīn apne madār par ghūmtī rahegī
ki ab sitāroñ ke pāniyoñ meñ bhī aks hai ḳhaak ke makīñ kā
maiñ jin ke ham-rāh chal rahā huuñ vo sab isī ḳhaak kī numū haiñ
magar jo mere vajūd meñ hai vo ḳhvāb hai aur hī kahīñ kā
jo mere ḳhuuñ meñ bhaḌak rahī hai vo mish.al-e-ḳhvāb hai kahāñ kī
jo merī āñkhoñ meñ bas gayā hai vo chāñd hai kaun sī jabīñ kā
maiñ raat ke ghaaT par utar kar kisī sitāre meñ Duub jaatā
magar mire rū-ba-rū dharā hai ye aa.ina sub.h-e-nīlmīñ kā
so ab ye jīvan kī naav shāyad kisī kināre se jā lagegī
ki ab to paanī kī sat.h par bhī gumān hone lagā zamīñ kā
Top Urdushayar.com