Ghulam Husain Sajid

abhi shab hai mai-e-ulfat unDelen

Ghulam Husain Sajid

1951
abhī shab hai mai-e-ulfat uñDeleñ
magar din meñ gharoñ ke rāste leñ
chalo ruk jaa.eñ bahr-e-dīd ham bhī
darīche par jhukī jaatī haiñ beleñ
ḳhudāyā kaash ye hiire sī āñkheñ
mohabbat kī kaḌī baazī na kheleñ
irāda hai na pahchāneñ use ham
tamannā ko ye zid bāhoñ meñ le leñ
bahut arsa rahe haiñ saath us ke
so ab tanhā.ī bhī kuchh roz jheleñ
hai dil meñ zabt aur āñkhoñ meñ aañsū
tasādum ko baḌhī aatī haiñ raileñ
ye ghar haiñ yā ba-vaqt-e-shām 'sājid'
svāgat ke liye khultī haiñ jeleñ
Top Urdushayar.com