huā raushan dam-e-ḳhurshīd se phir rañg paanī kā
damak uTThā hai mere aa.ine par zañg paanī kā
muqayyad rañg khilte hoñ kisī billor se jaise
khulā is tarah mere ḳhvāb par arzañg paanī kā
kisī anjān ḳhushbū se tabī.at sair hai us kī
agarche qāfiya kuchh roz se hai tañg paanī kā
satātā hai jo dasht-e-nā-murādī ke asīroñ ko
vo taarā us hasīñ ke sāmne hai dañg paanī kā
bahut hī yaad aatā hai koī bachhḌā huā mujh ko
kabhī jab sāmnā kartā huuñ shoḳh-o-shañg paanī kā
abhī fursat nahīñ hai kār-e-duniyā meñ ulajhne kī
magar tabdīl kar saktā huuñ maiñ bhī Dhañg paanī kā
bahut din se maiñ 'sājid' darmiyāñ huuñ apne pyāroñ ke
ki ThanDā paḌ chukā hai ab mahāz-e-jañg paanī kā