Ghulam Husain Sajid

nigar-KHana-e-arz-o-sama mila ki nahin

Ghulam Husain Sajid

1951
nigār-ḳhāna-e-arz-o-samā milā ki nahīñ
agar milā to koī dilrubā milā ki nahīñ
shikasta-dil ko zarūrat hai khilkhilāne kī
payām-e-gul se tujhe hausla milā ki nahīñ
siyāh niiñd meñ jalte hue charāġhoñ ko
kisī galī meñ koī jāgtā milā ki nahīñ
ruke hue to ruke hī raheñge tā-dam-e-marg
jo chal paḌe the unheñ rāsta milā ki nahīñ
kisī ko phuul khilāte hue mire ghar meñ
koī damaktā huā aa.ina milā ki nahīñ
shaguft-e-ḳhvāb se bhīgī huī in āñkhoñ meñ
koī sitāra mire kaam kā milā ki nahīñ
ġhazal ko sab ke liye aa.ina banāte hue
kisī parī se tirā qāfiya milā ki nahīñ
rukā thā aur kahāñ kārvān-e-rāhat-e-ishq
phir us ke ba.ad vo shīrīñ-adā milā ki nahīñ
savāl karte haiñ aksar mire adū 'sājid'
ki is nagar meñ koī āshnā milā ki nahīñ
Top Urdushayar.com