Ghulam Husain Sajid

aazad ho chuka koi zanjir ho chuka

Ghulam Husain Sajid

1951
āzād ho chukā koī zanjīr ho chukā
ya.anī dayār-e-ḳhvāb bhī tasḳhīr ho chukā
pārīna ho chukī hai bahut dāstān-e-ishq
ik shahr-e-dasht najd meñ ta.amīr ho chukā
barbād kar chukā huuñ bahut kuchh ba-nām-e-ḳhvesh
aur jo bachā thā ġhair kī jāgīr ho chukā
kyā vaqt aa gayā hai mirī nasl par ki ab
merā adū bhī sāhab-e-tauqīr ho chukā
saiqal kiyā hai maiñ ne ise apne ḳhuun se
kis darja saaf ab ruḳh-e-shamshīr ho chukā
kaisī badal ke rah ga.ī hai merī kā.enāt
vo ḳhush-mizāj phuul bhī dil-gīr ho chukā
'sājid' nigāh Dāliye ab ird-gard bhī
zikr-e-rumūz rañg-e-asātīr ho chukā
Top Urdushayar.com