Ghulam Husain Sajid

koi gardish mein hai kya dasht se ghar tak ab bhi

Ghulam Husain Sajid

1951
koī gardish meñ hai kyā dasht se ghar tak ab bhī
ḳhaak uḌtī hai mirī hadd-e-nazar tak ab bhī
le ga.ī khīñch ke shāyad unheñ miTTī kī mahak
uḌ ke pahuñche nahīñ kuchh phuul shajar tak ab bhī
rizq ban jā.eñge kuchh der meñ tārīkī kā
mahv-e-parvāz haiñ jo shams-o-qamar tak ab bhī
apnī buniyād pe qaa.em haiñ mire hosh-o-havās
ḳhuun chaḌhtā hai mire paañv se sar tak ab bhī
jin ko paane kī tamannā hai azal se mire saath
haath pahuñchā nahīñ un barg-o-samar tak ab bhī
khul nahīñ paayā mirī ruuh pe sahrā 'sājid'
ya.anī mahdūd huuñ maiñ sair-o-safar tak ab bhī
Top Urdushayar.com