said huuñ roz-e-azal se ālam-e-asbāb kā
aur vā rakhtā huuñ siine meñ darīcha ḳhvāb kā
sāmne aate hī us ke merī vahshat jaag uThī
dhyān rahtā thā mujhe yuuñ to bahut ādāb kā
kār-zār-e-ishq se bāhar nikal kar dekhiye
saarī bastī meñ ujālā hai usī kamyāb kā
ālam-e-rūyā maiñ dekhā thā jase maiñ ne kabhī
aks hai ab merī āñkhoñ meñ usī mehrāb kā
aa gayā āḳhir kitāb-e-ishq kā anjām bhī
duur tak bikhrā huā manzar hai pahle baab kā
shaam hai aur surḳh peḌoñ ke dahakte saa.e bhī
niiñd meñ bahtā huā dhārā hai jū-e-āb kā
kis liye 'sājid' banātā huuñ gharauñde ret ke
ruḳh badal saktā hai thoḌī der meñ sailāb kā