mirī sub.h-e-ḳhvāb ke shahr par yahī ik javāz hai jabr kā
ki mire vajūd ke baaġh meñ abhī koī phuul hai sabr kā
kisī bādbān kī oT meñ kahīñ āsmān ke sāmne
ye ziyā hai mish.al-e-ḳhvāb kī ki koī charāġh hai abr kā
kisī sub.h ḳhvāhish-e-marg se bhī numūd paatī hai zindagī
kisī shaam apne vajūd par bhī gumān hotā hai qabr kā
mirī sham-e-nūr ke us taraf mirī ḳhāk-e-sabz ke is taraf
ye na.ī zamīn hai jabr kī ye nayā gulāb hai sabr kā
mire aa.ine se judā huā jo charāġh-e-hijr to ye khulā
chaman-e-sitāra-o-rañg meñ bhī kahīñ qayām hai abr kā