Ghulam Husain Sajid

aaine mein aks khilta hai gul-e-hairat nahin

Ghulam Husain Sajid

1951
aa.ine meñ aks khiltā hai gul-e-hairat nahīñ
log sach kahte haiñ āñkhoñ sī koī ne.amat nahīñ
ab bahar-sūrat sar-e-maidāñ utarnā hai mujhe
kār-zār-e-ishq se paspā.ī kī sūrat nahīñ
us ke hone se huī hai apne hone kī ḳhabar
koī dushman se ziyāda lā.eq-e-izzat nahīñ
sair karnā chāhtā huuñ maiñ jahāñ-ābād kī
aur ruk kar dekh lene kī mujhe fursat nahīñ
ishq par faa.ez huuñ auroñ kī tarah lekin mujhe
vasl kā lapkā nahīñ hai hijr se vahshat nahīñ
raat vo aañsū bahā.e haiñ ki mere qalb par
sub.h kā āġhosh vā karnā mirī ujrat nahīñ
jis qadar mahmez kartā huuñ maiñ 'sājid' vaqt ko
us qadar be-sabr rahne kī use aadat nahīñ
Top Urdushayar.com