kisī kī khoī huī yaad ke ishāre par
maiñ rañg DhūñDne niklā huuñ us sitāre par
bhale ye merā badan ret ban ke uḌ jaa.e
maiñ apne zor meñ bahtā rahūñgā dhāre par
vahī damakte hue surḳh lab vahī āñkheñ
gumān jin kā huā thā mujhe sharāre par
jagah jagah se havā kāTne lagī hai badan
bikhar na jaa.eñ chhatoñ par kahīñ hamāre par
mirī giraft meñ aate nahīñ the jis ke ḳhvāb
usī ne dī thiiñ ye āñkheñ mujhe ḳhasāre par
maiñ paar kar chukā dariyā-e-ḳhvāb jab 'sājid'
to vo dikhā.ī diye dūsre kināre par