tishna-lab koī jo sar-gashta sarāboñ meñ rahā
basta-e-vahm-o-gumāñ bhāgtā ḳhvāboñ meñ rahā
dil kī āvāra-mizājī kā gilā kyā kiije
ḳhāna-barbād rahā ḳhāna-ḳharāboñ meñ rahā
ek vo harf-e-junūñ naqsh-gar-e-lauh-o-qalam
ek vo bāb-e-ḳhirad band kitāboñ meñ rahā
be-hisī vo hai ki is daur meñ jiine kā mazā
na gunāhoñ meñ rahā aur na savāboñ meñ rahā
jam.a kartā rahā ye sūd-o-ziyāñ ke a.adād
umr bhar zehn-e-bashar uljhā hisāboñ meñ rahā
ab koī aur hī shai vaj.h-e-nashāt-e-dil ho
nashsha-o-kaif-e-sharar ab na sharāboñ meñ rahā