Seen Sheen Alam

muntashir jab zehn mein lafzon ka shiraaza hua

Seen Sheen Alam

Rampur, Uttar pradesh, India

1950
muntashir jab zehn meñ lafzoñ kā shīrāza huā
mujh ko ik saada varaq ke dukh kā andāza huā
yuuñ to ik chubhtā huā ehsās thī us kī nazar
choT hī ubhrī na koī zaḳhm hī taaza huā
moḌnā chāhā thā maiñ ne sar-phire lamhoñ kā ruḳh
der meñ ujḌī huī shāḳhoñ ko andāza huā
apnī palkoñ par liye phirtā rahā nīñdoñ kā bojh
chand ḳhvāboñ kā adā mujh se na ḳhamyāza huā
nīchī dīvāroñ ke saa.e bhī baḌe hote nahīñ
aaj apne dostoñ se mil ke andāza huā
ḳhud se sharminda nazar ā.eñge saare aa.ine
phir kabhī yakjā agar chehroñ kā shīrāza huā
jab havā.eñ dī ga.ī 'ālam' mire iḳhlās ko
ek chehra thā jo apne aap be-ġhāza huā
Top Urdushayar.com