Seen Sheen Alam

yahi bas ek dua mangna nahin aata

Seen Sheen Alam

Rampur, Uttar pradesh, India

1950
yahī bas ek duā māñgnā nahīñ aatā
vafā ke badle vafā māñgnā nahīñ aatā
hamārā kaam mohabbat se pesh aanā hai
kisī kā naam patā māñgnā nahīñ aatā
darīcha khol diyā hai ghuTan se bachne ko
magar zabāñ se havā māñgnā nahīñ aatā
kahīñ mile to ye kahnā mire masīhā se
marīz-e-ġham ko davā māñgnā nahīñ aatā
ye ḳhāmushī koī tūfāñ zarūr lā.egī
ġharīb chup haiñ to kyā māñgnā nahīñ aatā
zarūratoñ ke sivā bhī zarūr miltā magar
zarūratoñ se sivā māñgnā nahīñ aatā
hazār baar kahā dil se maañg le kuchh to
yahī javāb milā māñgnā nahīñ aatā
hamesha ḳhair ke tālib haiñ ham hameñ 'ālam'
tilism-e-hosh-rubā māñgnā nahīñ aatā
Top Urdushayar.com