Seen Sheen Alam

main agar fikr ke shah-par se alag ho jaun

Seen Sheen Alam

Rampur, Uttar pradesh, India

1950
maiñ agar fikr ke shah-par se alag ho jā.ūñ
apne andar ke suḳhnavar se alag ho jā.ūñ
aa.ina gard se bātil kī nikal aa.egā
haq kī tā.īd meñ lashkar se alag ho jā.ūñ
āsmāñ bhī nahīñ ro.egā lahū ke aañsū
maiñ agar shaam ke manzar se alag ho jā.ūñ
tapte sahrā kī zamīñ ko bhī zarūrat hai mirī
lekin ab kaise samundar se alag ho jā.ūñ
zalzale itne mirī zaat meñ poshīda haiñ
ye bhī mumkin hai ki mehvar se alag ho jā.ūñ
baañT lenā kabhī taqsīm na karnā mujh ko
ye na hogā ki barābar se alag ho jā.ūñ
Top Urdushayar.com