Seen Sheen Alam

sab kahin pichhe chhuT-chhaT gae

Seen Sheen Alam

Rampur, Uttar pradesh, India

1950
sab kahīñ pīchhe chhūT-chhāT ga.e
vo zamāne vo ThāT-bāT ga.e
kaun tolegā tujh ko phūloñ meñ
vo tarāzū ga.ī vo baaT ga.e
ham se achchhe rahe hamāre buzurg
zindagī sādgī se kaaT ga.e
ab rahā kyā hai in kitāboñ meñ
kaam kī bāteñ log chaaT ga.e
phir kahīñ bhī ye jī lagā hī nahīñ
ham to jaane ko ghaaT ghaaT ga.e
pyaas apnī bujhā ke pāgal log
sab kueñ rāste ke paaT ga.e
jaane kis ke hisāb meñ 'ālam'
rāteñ bojhal to din sapāT ga.e
Top Urdushayar.com