kuchh taġhāful hai to kuchh nāz-o-adā-kārī hai
qahr kā qahr hai dildārī kī dildārī hai
iltifāt-e-nigah-e-nāz se bach kar rahnā
jazba-e-ishq tire qatl kī tayyārī hai
shafqateñ zinda haiñ iḳhlās kī buniyādoñ par
ab bhī kuchh logoñ meñ pahle sī ravādārī hai
yahī tahzīb to virse meñ milī hai mujh ko
tum anā samjhe ho jis ko mirī ḳhuddārī hai
silsila ḳhatm hijābāt kā hotā hī nahīñ
aa.ina dekhne vaale ko bhī dushvārī hai
aaj kī raat hai tūfān ke aane kī ḳhabar
aaj kī raat charāġhoñ pe bahut bhārī hai
log ḳhush-fahm haiñ yā ḳhvāb-gazīda 'ālam'
jāgte rahne ko samjhe haiñ ki bedārī hai