surḳh hoñToñ se mire dil pe nishānī likh de
tū mire naam ke aage kabhī jaanī likh de
umr guzrī hai mirī shām-e-furāt-e-dil meñ
maiñ huuñ pyāsā mire nusḳhe meñ tū paanī likh de
ab tirī yaad bhī kam kam hī mujhe aatī hai
jaane kis tarah se guzrī hai javānī likh de
aarzū ek hī is dil meñ rahī hai raqsāñ
tū koī mere liye shaam suhānī likh de
mere afsāna-e-hastī meñ hai tū bhī shāmil
mirī nāshād mohabbat kī kahānī likh de
ain mumkin hai mire dil ko sukūñ mil jaa.e
safha-e-dil pe koī yaad purānī likh de
maiñ to 'ġhālib' kā muqallid huuñ 'kañval' mere liye
mire ḳhāme ke muqaddar meñ ravānī likh de