kabhī vafūr-e-tamannā kabhī malāmat ne
thakā diyā hai badan roz kī ḳhajālat ne
maiñ zaḳhm zaḳhm thā bistar kī silvaToñ meñ ghirā
mirā jo haal kiyā sub.h kī malāhat ne
fazā-e-jabr tujhe chaak chaak kar deñge
nigal liye jo sitāre tirī kasāfat ne
kisī jamāl kī chhab ho kisī kamāl kī zau
ujaaḌ Daalā hai pazhmurdagī kī aadat ne
ham aise kaun se ġharq-e-nashāt-o-aish the jo
hameñ hī taak liyā ḳhauf kī risālat ne
ġhurūr hī kā na bahrūp ho 'husain-ābid'
jo ijz tujh ko diyā hai tirī ibādat ne