zamīñ kā dam nikaltā jā rahā hai
ḳhudā kā kaam chaltā jā rahā hai
ye kin hāthoñ meñ sūraj aa gayā hai
chhatoñ se din pighaltā jā rahā hai
parinde mumTiyoñ pe ro rahe haiñ
shajar har ghar se kaTtā jā rahā hai
ajab sā vahm dil pe jam gayā hai
badan saa.e se ghaTtā jā rahā hai
havā bhī sard hotī jā rahī hai
samundar bhī utartā jā rahā hai
jo sunte haiñ vo gum jaatā hai fauran
jo likhte haiñ vo miTtā jā rahā hai