kareñ ham kis kī puujā aur chaḌhā.eñ kis ko chandan ham
sanam ham dair ham but-ḳhāna ham but ham barahman ham
dar-o-dīvār hī nazroñ meñ apnī ā.īna-ḳhāna
kyā kartī haiñ ghar baiThī hī apnā aap darshan ham
mohabbat hai to apne se adāvat hai to apne se
haiñ aap hī dost apne ham haiñ aap hī apne dushman ham
kab uThtī haiñ uThā.e se kisī shaiḳh-o-barahman ke
dar-e-dil-par hī apne maar kar baiThe haiñ aasan ham
jise ġhaib aap samjhe haiñ shahādat jis ko jaane haiñ
binā rakhī haiñ apnī dil lagī kī ye ghar-āñgan ham
hidāyat ham se hī paidā zalālat ham pe hī shaidā
kabhī haiñ rahnumā apne kabhī haiñ apne rahzan ham
na qīl-o-qāl se matlab na shaġhl-ashġhāl se matlab
murāqib apne rahte haiñ kā kar apnī gardan ham
rahā kartī haiñ pahroñ mahv-e-nazzāra meñ ham apne
sarāpā ho rahe haiñ ab to apne aap darpan ham
huā ai 'faiz' ma.alūm ek muddat meñ hameñ thī vo
japā karte the jis ke naam kī din-rāt simran ham