kuchh to mauqūf nigāhoñ kī chamak par hogā
varna manzar to sabhī ke liye manzar hogā
koī mahmez sī Thokar hai zarūrat merī
rah kā patthar to baḌe kaam kā patthar hogā
nā-tavāñ aise ki jo shaḳhs hameñ qatl kare
ḳhūn-ālūd na us shaḳhs kā ḳhanjar hogā
kuchh to karnā hai mujhe apnī hifāzat ke liye
ek din merī hathelī pe mirā sar hogā