Mukhtar Javed

hadaf hun dushman-e-jaan ki nazar mein rahta hun

Mukhtar Javed

hadaf huuñ dushman-e-jāñ kī nazar meñ rahtā huuñ
kise ḳhabar hai qafas meñ ki ghar meñ rahtā huuñ
idhar-udhar ke kināre mujhe bulāte haiñ
magar maiñ apnī ḳhushī se bhañvar meñ rahtā huuñ
na maiñ zamīñ huuñ na tū āftāb hai phir bhī
tire tavāf kī ḳhātir safar meñ rahtā huuñ
maiñ sāya-dār nahīñ is ke bāvajūd ye dekh
pahan ke dhuup tirī rahguzar meñ rahtā huuñ
ye kaisī chiḌh hai mujhe tīrgī ke aalam se
ki maiñ charāġh huuñ lekin sahar meñ rahtā huuñ
mujhe ġharaz hai faqat us kī istaqāmat se
bahār ho ki ḳhizāñ maiñ shajar meñ rahtā huuñ
mujhe shanāḳht karo mere shāhkāroñ meñ
maiñ ḳhāl-o-ḳhat se ziyāda hunar meñ rahtā huuñ
Top Urdushayar.com