Mukhtar Javed

KHuda ki zat ne jab dard ka nuzul kiya

Mukhtar Javed

ḳhudā kī zaat ne jab dard kā nuzūl kiyā
mire sivā na kisī aur ne qubūl kiyā
agarche ek qabīle ke fard haiñ donoñ
tujhe gulāb banāyā mujhe babūl kiyā
kabhī ye ġham ki adhūrā rahā hamārā kaam
kabhī ye soch ki jitnā kiyā fuzūl kiyā
havā ne gard uḌaa.ī hai bārhā merī
palaT palaT ke zamīñ ne mujhe qubūl kiyā
har ek zaḳhm ko baḳhshī gulāb kī sūrat
badan kī sej pe kāñToñ ko ham ne phuul kiyā
sunā rahe haiñ shajar ruḳhsat-e-bahār kā sog
samar to kyā koī patta nahīñ qubūl kiyā
kisī ko ḳhad se ziyāda na mohtasib jaanā
faqat zamīr kī āvāz ko usuul kiyā
Top Urdushayar.com