Mukhtar Javed

abr be-wajh nahin dasht ke upar aae

Mukhtar Javed

abr be-vaj.h nahīñ dasht ke uupar aa.e
ik duā aur ki bārish kī duā bar aa.e
aañkh rakhte hue kuchh bhī nahīñ dekhā ham ne
varna manzil se hasīñ raah meñ manzar aa.e
koī imkān ki jaage kabhī lohe kā zamīr
aur qātil kī taraf lauT ke ḳhanjar aa.e
aarzū thī ki shajar ko samar-āvar dekhūñ
baur paḌte hī magar sahn meñ patthar aa.e
tujh se dariyā to ga.e chal ke samundar kī taraf
mujh se qatre kī taraf uḌ ke samundar aa.e
āzmā.ish ho shujā.at kī to phir aise ho
maiñ akelā huuñ mire sāmne lashkar aa.e
kar diyā dhuup ne jab shahr ko sāyoñ ke sipurd
phir to din meñ bhī ka.ī raat ke manzar aa.e
Top Urdushayar.com