har ḳhushī tere naam kī maiñ ne
vaar dī tujh pe zindagī maiñ ne
ik piyāde ne maat shaah ko dī
chaal aisī bhī ik chalī maiñ ne
vaqt bhī muḳhtasar thā us ke paas
baat bhī muḳhtasar sī kī maiñ ne
jo ḳhulūs-o-vafā ke paikar haiñ
kam hī dekhe haiñ aadmī maiñ ne
aañkh ne jab kabhī baġhāvat kī
terī tasvīr dekh lī maiñ ne
kaash pūchhe kabhī mujhe aa kar
chhoḌ dī kyuuñ tirī galī maiñ ne
sub.h-zau roz pūchhtī hai mujhe
kis tarah shab guzār dī maiñ ne
mujh ko sarvat kī yaad aa.ī hai
rail dekhī hai jab kabhī maiñ ne
ab mirī laash se savāl karo
kis tarah kī hai ḳhud-kushī maiñ ne
merī chaukhaT pe ġham chalā aayā
sauñp dī us ko har ḳhushī maiñ ne
vasl ko ḳhud pe oḌh ke 'ansar'
hijr kī dāstāñ likhī maiñ ne