ye mohabbat kā vaar hai sāhab
dil baḌā sogvār hai sāhab
har taraf log chhāñv ke dushman
aur shajar sāya-dār hai sāhab
kyuuñ mirā dil ḳhizāñ-rasīda hai
har taraf to bahār hai sāhab
paañv rakhnā sambhal sambhal ke yahāñ
hasratoñ kā mazār hai sāhab
kyā ajab hai ki ham ko ḳhud pe nahīñ
aap par e.atibār hai sāhab
pahlā maqsad hai khelnā tum se
sānvī jiit haar hai sāhab
paañv hālāt kī giraft meñ haiñ
ishq sar par savār hai sāhab
ġham se rishta bahut purānā hai
mere bachpan kā yaar hai sāhab
aap 'ansar' ko jānte hī nahīñ
ye to yāroñ kā yaar hai sāhab