Rashid Qayyum Ansar

ye jo mere andar phaili KHamoshi hai

Rashid Qayyum Ansar

ye jo mere andar phailī ḳhāmoshī hai
tum kyā jaano kitnī gahrī ḳhāmoshī hai
us kī apnī hī ik chhoTī sī duniyā hai
ik guḌiyā hai ek sahelī ḳhāmoshī hai
terā saaya tere saath safar kartā hai
mere saath musalsal chaltī ḳhāmoshī hai
furqat kā dukh bas vo samjhe jis par biite
maiñ huuñ suunā ghar hai gahrī ḳhāmoshī hai
shab ke pichhle lamhoñ meñ aksar dekhā hai
tanhā.ī se mil kar rotī ḳhāmoshī hai
ye mausam ye manzar rūThe rūThe se haiñ
jaise sard ravayye vaisī ḳhāmoshī hai
lagtā hai ki tum ne bhī kuchh dekh liyā hai
har lamhe jo tum par taarī ḳhāmoshī hai
mujh ko 'ansar' roz pareshāñ kar detī hai
tere hoñToñ par jo rahtī ḳhāmoshī hai
Top Urdushayar.com