koī rasta koī rahrav koī apnā nahīñ miltā
mohabbat ke musāfir ko kahīñ saaya nahīñ miltā
mirī āñkhoñ se ashkoñ ke bajā.e ret girtī hai
magar andar kahīñ bhī ret kā dariyā nahīñ miltā
baḌī sāda-dilī se ek din bachche ne ye pūchhā
koī bhī shaḳhs is duniyā meñ kyuuñ hañstā nahīñ miltā
hameñ har pal tumhārī hī kamī mahsūs hotī hai
tumhārī yaad se ġhāfil koī lamha nahīñ miltā
ḳhayāloñ meñ ka.ī kirdār mujh se roz milte haiñ
haqīqat meñ magar aisā koī chehra nahīñ miltā
ajab jalva-numā.ī hai jidhar dekhūñ tumhī tum ho
mujhe to aa.ine meñ aks bhī merā nahīñ miltā
maiñ miTTī se bane murda badan ko le ke phirtā huuñ
magar is shahr meñ 'ansar' dam-e-īsā nahīñ miltā