Rahi Shahabi

dil wale hain hum rasm-e-wafa humse mili hai

Rahi Shahabi

Khailiya, Uttar pradesh, India

1934-2005
dil vaale haiñ ham rasm-e-vafā ham se milī hai
duniyā meñ mohabbat ko baqā ham se milī hai
vo ḳhanda-ba-lab zikr-e-gulistāñ pe ye bole
ġhunchoñ ko tabassum kī adā ham se milī hai
sadiyoñ se taraste hue kānoñ meñ jo pahuñchī
tārīḳh se pūchho vo sadā ham se milī hai
ham vo haiñ ki ḳhud phūñk diye apne nasheman
gulshan ke añdheroñ ko ziyā ham se milī hai
kyā ek hī mehvar pe hai Thahrī huī duniyā
vo jab bhī milī hai to ḳhafā ham se milī hai
vo but jo ḳhudā aaj bane baiThe haiñ un ko
ye shān-e-ḳhudā.ī ba-ḳhudā ham se milī hai
ham Thahre haiñ tūfān-e-havādis ke muqābil
baḌh baḌh ke gale mauj-e-balā ham se milī hai
sīkhā hai jalāne kā chalan sham.a ne tum se
parvānoñ ko jalne kī adā ham se milī hai
ham ahl-e-mohabbat haiñ lahū dete haiñ 'rāhī'
be-nūr charāġhoñ ko ziyā ham se milī hai
Top Urdushayar.com