nākām merī koshish-e-zabt-e-alam nahīñ
yuuñ mutma.in huuñ jaise mujhe koī ġham nahīñ
tārīkiyoñ meñ aaj bhī gum hai vo rahguzar
jis ko nasīb aap ke naqsh-e-qadam nahīñ
is daur meñ ki jis meñ hai jins-e-vafā kā qaht
ham se vafā-shi.ār jo baaqī haiñ kam nahīñ
tere sivā kisī se ujāloñ kī bhiik le
kam-zarf is qadar to mirī shām-e-ġham nahīñ
bikhre hue se 'rāhī' ye aurāq-e-zindagī
apnī hayāt zulf-e-pareshāñ se kam nahīñ