dil kī barbādī ke āsār abhī baaqī haiñ
kuchh shikasta dar-o-dīvār abhī baaqī haiñ
chand parvāne hī raqsāñ haiñ magar sham-e-hazīñ
shukr kar kuchh tire ġham-ḳhvār abhī baaqī haiñ
chand ġhunchoñ ke jigar sī ke rafūgar na bano
kitne dil haiñ jo dil-afgār abhī baaqī haiñ
vaqt aayā to tah-e-teġh bhī dohrā deñge
vo fasāne jo sar-e-dār abhī baaqī haiñ
ai mashīhāo kabhī ghar se nikal kar dekho
kis qadar shahr meñ bīmār abhī baaqī haiñ
sū-e-vīrāna nikal aa.e jo dīvāne to kyā
zehn meñ to dar-o-dīvār abhī baaqī haiñ
ḳhatm muusā pe kahāñ silsila-e-shauq huā
kitne hī tālib-e-dīdār abhī baaqī haiñ
mere dāman ko na dekho sar-e-mizhgāñ dekho
kis qadar abr-guhar-bār abhī baaqī haiñ
uqde khulte hī chale jaate haiñ har roz na.e
ġhāliban mahram-e-asrār abhī baaqī haiñ
uljhaneñ ham ko bhī darkār haiñ utnī jitne
tujh meñ ḳham kākul-e-ḳhamdār abhī baaqī haiñ
tinke tinke pe tirī yūrish-e-paiham phir bhī
āshiyāñ barq-e-sharar-bār abhī baaqī haiñ
kis meñ jur.at hai jo phūloñ pe nazar Daal sake
pāsbānī ke liye ḳhaar abhī baaqī haiñ
jo badal sakte haiñ mai-ḳhāne kā dastūr-e-kuhan
chand aise bhī to mai-ḳhvār abhī baaqī haiñ
dekh kar misr ke bāzār kī raunaq 'rāhī'
dil ye kahtā hai ḳharīdār abhī baaqī haiñ