Rahi Shahabi

har daur mein har ahd mein tabinda rahenge

Rahi Shahabi

Khailiya, Uttar pradesh, India

1934-2005
har daur meñ har ahd meñ tābinda raheñge
ham ahl-e-mohabbat haiñ daraḳhshanda raheñge
jo naqsh-e-qadam ahl-e-junūñ chhoḌ ga.e haiñ
tum laakh miTāoge vo pā.inda raheñge
tum ne vo sitam Dhaa.e haiñ arbāb-e-vafā par
tārīḳh ke aurāq bhī sharminda raheñge
hālāt jo maazī meñ the vo aaj nahīñ haiñ
darpesh jo ab haiñ vo na ā.inda raheñge
Dhal jā.egā ik roz tire husn kā sūraj
ham aaj bhī tābinda haiñ tābinda raheñge
rañg apnā badaltā hai zamāna to badal le
ham azmat-e-rafta ke numā.inda raheñge
sab nām-o-nishāñ dahr se miT jā.eñge 'rāhī'
kuchh naam haiñ aise bhī jo pā.inda raheñge
Top Urdushayar.com