ashk āñkhoñ meñ aur dil meñ aahoñ ke sharar dekhe
barsāt ke mausam meñ jalte hue ghar dekhe
āḳhir ko ye din tū ne ai dīda-e-tar dekhe
milte hue miTTī meñ anmol guhar dekhe
jalvoñ kī hadeñ āḳhir kaise muta.ayyan hoñ
āñkhoñ ne tire jalve tā-hadd-e-nazar dekhe
gahnā.e hue chāñd aur dhundlā.e hue sūraj
furqat meñ in āñkhoñ ne kyā shām-o-sahar dekhe
pahuñchā de salām us tak ham tīra-nasīboñ kā
jo 'rāhī'-e-ḳhush-qismat tanvīr-e-sahar dekhe