Ammar Iqbal

mujhse banta hua tu tujhko banata hua main

Ammar Iqbal

Pakistan

1989

mujh se bantā huā tujh ko banātā huā maiñ

giit hotā huā giit sunātā huā maiñ

ek kuuze ke tasavvur se juḌe ham donoñ

naqsh detā huā chaak ghumātā huā maiñ

tum banāo kisī tasvīr meñ koī rasta

maiñ banātā huuñ kahīñ duur se aatā huā maiñ

ek tasvīr takmīl ke ham do pahlū

rañg bhartā huā rañg banātā huā maiñ

mujh ko le jaa.e kahīñ duur bahātī huī

tujh ko le jā.ūñ kahīñ duur uḌātā huā maiñ

ik ibārat hai jo tahrīr nahīñ ho paa.ī

mujh ko likhtā huā tujh ko miTātā huā maiñ

mere siine meñ kahīñ ḳhud ko chhupātā huā

tere siine se tirā dard churātā huā maiñ

kāñch ho ke mire aage bikhartā huā

kirchiyoñ ko tirī palkoñ se uThātā huā maiñ

Top Urdushayar.com