pahle hamārī aañkh meñ bīnā.ī aa.ī thī
phir is ke ba.ad quvvat-e-goyā.ī aa.ī thī
maiñ apnī ḳhastagī se huā aur pā.edār
merī thakan se mujh meñ tavānā.ī aa.ī thī
dil aaj shaam se hī use DhūñDne lagā
kal jis ke ba.ad kamre meñ tanhā.ī aa.ī thī
vo kis kī naġhmagī thī jo dāroñ saroñ meñ thī
rañgoñ meñ kis ke rañg se ra.anā.ī aa.ī thī
phir yuuñ huā ki us ko tamannā.ī kar liyā
merī taraf jo chashm-e-tamāshā.ī aa.ī thī